Wednesday, November 28, 2012

Woh mujhe khud ka dekhkar pareshaniyon mein hai...

Woh mujhe khud ka dekh kar pareshaniyon mein hai
Mehfil mein hai, fir bhi veeraniyon mein hai.

Koi usse puche to gunah uska
Jo bewajah hi akhbaron ki surkhiyon mein hai.

Mohabbat ki saza itni badi to na do usko
Yeh jurm bhi Khuda ke gunahon mein hai.

Itne chahane wale uske, itne deewane
Kya kahe, Chand ab tak akele tanhaiyon mein hai.

#Romil

वोह मुझे खुद का देखकर परेशानियों में है
महफ़िल में है, फिर भी वीरानियों में है

कोई उससे पूछे तो गुनाह उसका
जो बेवजह ही अख़बारों की सुर्ख़ियों में है

मोहब्बत की सजा इतनी बड़ी तो न दो उसको
यह जुर्म भी खुदा के गुनाहों में है

इतने चाहने वाले उसके, इतने दीवाने
क्या कहे, चाँद अब तक अकेले तन्हाइयों में है।

#रोमिल

Wahi purane zamane wala ishq yaad aata hai

Aaj bhi wahi purane zamane wala ishq yaad aata hai
Tere kandhe par sar rakh kar neela aasman takana yaad aata hai

Jab main achanak aata tha ghar tere
Tera dupatta lekar rasoi ghar mein bhagana yaad aata hai.
Haaton mein chai ki tastari lekar dawatkhane aana
Jhukti Nazaron se nazare milate hue chai dena yaad aata hai...

Wahi purane zamane wala ishq yaad aata hai...

Ghabrahat mein Roti banate hue haath jala lena
Daal parosate hue kurte par daal dena, yaad aata hai
Dabe paaon tera chhat par aana
Peeche se mujhe apni baahon mein bhar lena, yaad aata hai.

Wahi purane zamane wala ishq yaad aata hai...

 Babu Ji ko dekhate hi mujhse baahein jhatak kar door hat jana
Akele kamre mein pate hi mujhe dhakel kar bistar par girana, yaad aata hai.
Subah uthate hi sabse pehle aakar mera matha chumana
Mere ghar se jate hi dinbhar-raatbhar khidki se niharana, yaad aata hai.

Wahi purane zamane wala ishq yaad aata hai.

#Romil

आज भी वही पुराने ज़माने वाला इश्क़ याद आता हैं
तेरे कँधे पर सर रखकर नीला आसमाँ याद आता है...

जब मैं अचानक आता था घर तेरे
तेरा दुपट्टा लेकर रसोई घर में भागना याद आता है...
हाथों में चाय की तश्तरी लेकर दावतखाने आना
झुकती नज़रों से नज़रें मिलाते हुए चाय देना याद आता है...

वही पुराने ज़माने वाला इश्क़ याद आता हैं...

घबराहट में रोटी बनाते हुए हाथ जला लेना
दाल परोसते हुए कुर्ते पर डाल देना
याद आता हैं
दबे पांव तेरा छत पर आना
पीछे से मुझे अपनी बाहों में भर लेना, याद आता है...

वही पुराने ज़माने वाला इश्क़ याद आता हैं...

बाबूजी को देखते ही मुझसे बाँहें झटक कर दूर हट जाना
अकेले कमरे में पाते ही मुझे धकेल कर बिस्तर पर गिराना, याद आता है...
सुबह उठते ही सबसे पहले आकर मेरा माथा चूमना
मेरे घर से जाते ही दिनभर-रातभर खिड़की से निहारना, याद आता है...

वही पुराने ज़माने वाला इश्क़ याद आता हैं...

#रोमिल

Monday, November 26, 2012

Dabur Chyawanprash... Tere Liye... Roz Ek Bada Wala Chammach Doodh Ke Sang... Samjhi...


Kisi bujurg ki sacchi dua sa lagta hai

Kisi bujurg ki sacchi dua sa lagta hai
Woh aadmi mujhe khuda-e-farishta sa lagta hai.

Uske lab hamesha sharafat se bolte hai
Woh kaanton ke beech mujhe phool-e-gulab sa lagta hai.

Andhere usse darr ke chhupate firte hai
Woh roshani-e-chirag sa lagta hai.

Aakhir utar hi aaya angan mein mere Chand
Har koi dil ke haaton kitna majboor sa lagta hai.

#Romil

किसी बुजुर्ग की सच्ची दुआ सा लगता है
वोह आदमी मुझे खुदा-ए-फ़रिश्ता सा लगता है

उसके लब हमेशा शराफ़त से बोलते है
वोह काँटों के बीच मुझे फूल-ए-गुलाब सा लगता है

अँधेरे उससे डर के छुपते फिरते है
वोह रोशनी-ए-चिराग सा लगता है

आखिर उतर ही आया आंगन में मेरे चाँद
हर कोई दिल के हाथों कितना  मजबूर सा लगता है।

#रोमिल

Pairon par angare bhi phool bankar hai baraste

Pairon par angare bhi phool bankar hai baraste
Seene ko sholey jala nahi sakte
Naam-e-hussain jab lab par aata hai
Maut ke darr se bhi qadam tham nahi sakte.

#Romil


पैरों पर अंगारे भी फूल बनकर है बरसते
सीने को शोले जला नहीं सकते
नाम-ए-हुसैन जब लब पर आता है
मौत के डर से भी क़दम थम नहीं सकते।

#रोमिल

Sunday, November 25, 2012

Chand khila, taarein hansein dekho raat ho gai

Chand khila, taare hansein dekho raat ho gai
Apni aarzoo-e-mohabbat fir betaab ho gai.

Dil diya, dard liya, aankhon mein aansuon ki barsaat ho gai
Ek khushi haasil karne mein zindagi khakh ho gai.

Jinke liye raatein apni be-khawab ho gai
Unko chain se sone ki aadat ho gai

Aur aankhon se nikale to aansoo, dil mein rahe to angaare
Yeh kaisi in motiyon ki kismat ho gai.

#Romil

चाँद खिला, तारे हँसें देखो रात हो गई
अपनी आरज़ू-ए-मोहब्बत फिर बेताब हो गई

दिल दिया, दर्द लिया आँखों में आँसूओं की बरसात हो गई
एक ख़ुशी हासिल करने में ज़िन्दगी खाक हो गई

जिनके लिए रातें अपनी बे-खवाब हो गई
उनको चैन से सोने की आदत हो गई

और आँखों से निकले तो आंसू, दिल में रहे तो अंगारे
यह कैसी इन मोतियों की किस्मत हो गई।

#रोमिल