Sunday, November 25, 2012

Chand khila, taarein hansein dekho raat ho gai

Chand khila, taare hansein dekho raat ho gai
Apni aarzoo-e-mohabbat fir betaab ho gai.

Dil diya, dard liya, aankhon mein aansuon ki barsaat ho gai
Ek khushi haasil karne mein zindagi khakh ho gai.

Jinke liye raatein apni be-khawab ho gai
Unko chain se sone ki aadat ho gai

Aur aankhon se nikale to aansoo, dil mein rahe to angaare
Yeh kaisi in motiyon ki kismat ho gai.

#Romil

चाँद खिला, तारे हँसें देखो रात हो गई
अपनी आरज़ू-ए-मोहब्बत फिर बेताब हो गई

दिल दिया, दर्द लिया आँखों में आँसूओं की बरसात हो गई
एक ख़ुशी हासिल करने में ज़िन्दगी खाक हो गई

जिनके लिए रातें अपनी बे-खवाब हो गई
उनको चैन से सोने की आदत हो गई

और आँखों से निकले तो आंसू, दिल में रहे तो अंगारे
यह कैसी इन मोतियों की किस्मत हो गई।

#रोमिल

No comments:

Post a Comment