Showing posts with label Quran Se. Show all posts
Showing posts with label Quran Se. Show all posts

Saturday, May 26, 2018

Surah 3 Al-'Imran. Ayat-200

Surah 3: Al-'Imran

Ayat - 200

Aye logo jo emaan laye ho, dhairya se kaam lo, asatyavadiyon ke muqabale mein jame raho, satya ki sewa ke liye qamar kase raho aur Allah se darte raho, umeed hai ki qamyabi paoge.

Friday, May 25, 2018

Surah 112: Al-Ikhlas. Ayat - 1-4

Surah 112: Al-Ikhlas

Ayat - 1-4

(1) Kaho, vah Allah hai Ek, aur Akela. (2) Allah sarv sampan hai sabse nirpeksh hai aur sab uske mohtaaz hai. (3) Na uski koi santan hai aur na vah kisi ki santan. (4) Aur koi uska samkakch nahi hai.

Thursday, May 24, 2018

Surah 104: Al-Humazah. Ayat 1-9

Surah 104: Al-Humazah

Ayat 1-9

(1) Tabahi hai har us vyakti ke liye jo (aamne-samne) logon par taane marne aur (peeth peeche) buraiyaan karne ka abhyast hai. (2) Jisne maal ikattha kiya aur gin-gin kar rakkha. (3) Vah samajhata hai uska maal hamesha uske pass rahega. (4) Hargiz nahi, vah vyakti to chaknachoor kar dene wali jagah mein fhek diya jayega. (5) Aur tum kya jaano kya hai vah chaknachoor kar dene wali jagah? (6) Allah ki aag, khoob bhadkai hui. (7) Jo dilo tak pahuchegi. (8) Vah un par dhaap kar band kar di jayegi. (9) (Is haalat mein ki ve) ucche-ucche istambha mein (ghire hue honge).

Wednesday, May 23, 2018

Surah 103: Al-Asr

Surah 103: Al-Asr

Ayat-1-3

(1) Zamane ki qasam. (2) Insaan vastav mein ghaate mein hai. (3) Sivay un logon ke jo imaan laye, aur aache karm karte rahe, aur ik dusare ko haq ki nasiyat aur sabr ki taqeed karte rahe.

Surah 2: Al-Baqarah - Ayat-185

Surah 2: Al-Baqarah

Ayat - 185

Ramzaan wah mahina hai, jismein Quran utara gaya jo insaano ke liye savartha margdarshan hai aur aisi ispastha shikshaon par aadharit hai, jo seedha marg dikhane wali aur satya aur asatya ka antar khol kar rakh dene wali hai. Atth ab se jo vyakti is mahine ko paye, uske liye anivarya hai ki is poore mahine ke Rozein rakhe. Aur jo koi bimaar ho ya safar par ho, to vah dusare dino mein Rozein ki ginti poori kare. Allah tumhare saath narmi karna chahta hai, skhti karna nahi chahta. Isliye yeh tarika tumhein bataya ja raha hai taki tum Rozon ki ginti poori kar sako aur jis seedhe marg par Allah ne tumhein lagaya hai, us par Allah ki badhaye ka izhaar karo aur mano aur sukrguzaar bano.

Monday, May 21, 2018

Surah 1: Al-Fatiha - Ayat 1-7

Surah 1: Al-Fatiha

Ayat - 1-7

(1) Prasansa Allah hi ke liye hai jo saare jahan ka Rab hai. (2) Bada hi meharbaan aur daya karne wala hai. (3) Badla diye jaane ke din ka Malik hai. (4) Hum teri hi bandagi karte hai aur tujhi se madad mangate hai. (5) Humein seedha marg dikha. (6) Un logon ka marg jo tere kripa-patra hue. (7) Jo prakop ke bhagi nahi hue, jo bhatke hue nahi hai.

Surah 21: Al Anbiya - Ayat 19-20

Surah 21: Al Anbiya

Ayat 19-20

(19) Zameen aur aasmano mein jo kuch bhi hai Allah ka hai. Aur jo (Faristee) uske pass hai ve na apne ko bada samajhkar uski bandagi se mooh fherate hai aur na dukhi hote hai. (20) Raat aur din uski tasbeeh karte rehte hai, dum nahi lete.

Surah 79: Ann-Nazi'at - Ayat 1-5

Surah 79 - Ann-Nazi'at

Ayat 1-5

(1) Kasam hai un (Fariston) ki jo dubb kar khechate hai. (2) Aur dheere se nikaal le jaate hai, (3) Aur (Un Fariston ki jo vayumandal mein) tezi se tairate firte hai. (4) Fir (Adeshanupalan mein) agrsarta dikhate hai. (5) Fir (Ishwariye aadeshon ke anusaar) mamlon ka intezaam chalate hai.

Friday, May 24, 2013

Surah 5- Al Maidah : Ayat 6

Surah 5- Al Maidah 

Ayat 6 : Hey imaan laanewalon ! Jab tum namaz ke liye utho to apne cheharon ko aur haaton ko kuhaniyon tak dho liya karo aur apne siron par haath fer lo aur apne pairon ko bhi takhano tak dho lo. Aur yadi napak ho to acchi tarah pak ho jao. Parantu yadi bimar ho ya safar mein ho ya tummein se koi sauch karke aaya ho ya tumne ishtriyon ko haath lagaya ho, fir pani na mile to pak miti se kaam lo. Uspar haath maarkar apne mooh aur haathon ko fer lo. Allah tumhein kisi tangi mein nahi dalna chahta*. Apitu vah chahta hai ki tumhein pavitra karein aur apni nemat tumpar poori kar dein, taaki tum kritigya bano.

_______________
*Balki usne tangi rakhi hi nahi. Janwaron ko jabah karte samay Allah ka naam lene se unka maas halal ho jata hai. Vivah se ishtri vaid ho jaati hain. Isi prakar vuju aur tayammum arthat mooh-haath kuhaniyon tak dhone aur sir par haath fherane tatha dono paav takhano tak dhone aur pani na milne par iske vikalp ke roop mein swach mitti se kaam lene ke paschat aadmi namaz padane ke layak ho jata hain.

Thursday, May 23, 2013

Surah 35 - Fatir : Ayat 45

Surah 35 - Fatir 

Ayat 45 - Yadi Allah logon ko unki kamai ke karan pakadane par aa jaye to is dharti ki peeth par kisi jeevdhari ko bhi na chhode. Kintu vah unhein ek niyat samay tak dheel deta hai, fir jab unka niyat samay aa jata hai to nischay hi Allah to apne bandon ko dekh hi raha hai*.

------------------
* Arthat wah unke saath vahi neeti apnayega jiske veh yogya hai. Is samay yadi unko vah pakad nahi raha hai to iska artha kadapi nahi ki vah unki kartuton se bekhabar hain. Yeh to ek mohalat hai jo unko mil rahi hai, taki sambhalana chahe to sambhal jayein. 

Sunday, May 12, 2013

Surah 34 : Saba - Ayat 37

Surah 34 : Saba

Ayat 37 - Vah cheez na tumhare dhan hai aur na tumhari santan, jo tumhein humse nikat kar de. Albatta, jo koi emaan laya aur usne accha karm kiya, to aise hi log hai jinke liye uska kaiye guna badla hai, jo unhone kiya. Aur ve upari manzil mein kakshon mein nischintatapurvak rahenge.

Saturday, May 11, 2013

Surah 2: Al Baqarah - Ayat - 156-157

Surah 2: Al Baqarah

Ayat - 156-157 : Jo log us samay, jabki unpar koi musibat aati hai, kehte hai : "Nisandeh hum Allah hi ke hai aur hum usi ki oar lautane wale hai".

Yahi log hai jinpar unke rab ki vishesh kirpaye hai aur dayaluta bhi; aur yahi log hai jo seedhe marg par hai.

Friday, May 10, 2013

Surah 14, Ibrahim - Ayat - 40-41

Surah 14, Ibrahim

Ayat - 40-41 : Mere Rab ! Mujhe aur meri santan ko namaz qayam karne wala banana. Hamare Rab ! aur hamari prathana sweekar kar.

Hamare Rab ! Mujhe aur mere Maa-Baap ko aur momino ko us din kshama kar dena, jis din hisab ka mamla pesh aayega.

Thursday, May 9, 2013

Surah 24 - An-Nur : Ayat 23

Surah 24 - An-Nur

Ayat 23 - Nisandeh jo log sharif pakdaman, bholi-bhali, bekhabar imanwani ishtiriyon par tohmat lagate hai unpar duniya aur aakhirat mein fitkaar hai. Aur unke liye ek badi yatana hai.

Wednesday, May 8, 2013

Surah 41 - Ha Mim As-Sajdah : Ayat 46

Surah 41 - Ha Mim As-Sajdah

Ayat 46 : Jis kisi ne accha karma kiya to apne hi liye aur jis kisi ne burai ki, to uska bawal bhi usi par padega. Vastav mein tumhara Rab apne bandon par tanik bhi jurm nahin karta.

Tuesday, May 7, 2013

Surah 5 - Al Maidah Ayat 90-91

Surah 5 - Al Maidah 

Ayat 90-91 : Aye imaan lanewalon! Yeh sharab aur juaa aur devisthal aur panshe to gande shaitani kaam hai. Ath tum inse alag raho, taki tum safal ho.

Shaitan to bas yahi chahta hai ki sharab aur juaa ke dwara tumhare beech shatrutata aur dresh paida kar de aur Allah ki yaad se aur namaz se rok de, to kya tum baaz n aaoge? 

Monday, May 6, 2013

Surah 63 : Al-Munafiqun Ayat 10

Surah 63 : Al-Munafiqun 

Ayat 10 - Humne tumhe jo kuch diya hai usmein se kharch karo isse pehle ki tummein se kisi ki mrityun aa jaye aur us samay vah kehne lage : "Aye mere Rab ! Tune mujhe kuch thode samay tak aur muhallat kyon na di ki main sadka (daan) karta (mujhe muhallat de ki main sadka karun) aur acche mein sammilat ho jayun ! 

Surah 60 : Al-Mumtahina - Ayat 7

Surah 60 : Al-Mumtahina 

Ayat 7 - Asha hai ki Allah tumhare aur unke beech, jinse tumne shatrutata mol li hai, prem-bhav utpan kar de. Allah badi samartha rakhata hai aur Allah bahut kshamasheel, atyant dayawan hai.

Saturday, May 4, 2013

Surah 65 : At-Talaq - Ayat 6-7

Surah 65 : At-Talaq - Ayat 6-7

Ayat 6 - Apni hasiyat ke anusar jahan tum swayam rehte ho unhein bhi usi jagah rakho. Aur unhein tang karne ke liye unhein hani na pahuchao. Aur yadi ve garbvati ho to unpar karch karte raho jab tak ki unka shishu-prasav na ho jaye. Fir yadi ve tumhare liye (shishu ko) dudh pilaye to tum unhein unka parisharm do aur aapas mein bhali reeti se paraspar baatcheet ke dwara koi baat taye kar lo. Aur yadi tum dono mein se koi kathinai ho to fir koi dusari ishtri uske liye doodh pila degi.

Ayat 7 - Chahiye ki samai (samarth) wala apni samai ke anusar kharch kare aur jise uski roji napi-tuli mili ho to use chahiye ki Allah ne use jo kuch bhi diya hai usi mein se wah kharch kare. Jitna kuch diya hai usse badhkar Allah kisi vyakti par jimmedari ka bhoj nahi dalata. Jald hi Allah kathinai ke baad aasani paida kar dega.


Surah 62 : Al-Jumuah - Ayat 9-10

Surah 62 : Al-Jumuah - 

Ayat 9. Aye imaan laane walon, jab juma ke din namaz ke liye pukara jaye to Allah ki yaad ki aur daud pado aur kraye-vikraye chhod do. Yeh tumhare liye accha hai, yadi tum jano.

Ayat 10. Fir jab namaz poori ho jaye to dharti par fail jayo aur Allah ka udar anugreh (rozi) talash karo, aur Allah ko bahut jyada yaad karte raho, taki tum safal raho.