Thursday, May 24, 2018

Surah 104: Al-Humazah. Ayat 1-9

Surah 104: Al-Humazah

Ayat 1-9

(1) Tabahi hai har us vyakti ke liye jo (aamne-samne) logon par taane marne aur (peeth peeche) buraiyaan karne ka abhyast hai. (2) Jisne maal ikattha kiya aur gin-gin kar rakkha. (3) Vah samajhata hai uska maal hamesha uske pass rahega. (4) Hargiz nahi, vah vyakti to chaknachoor kar dene wali jagah mein fhek diya jayega. (5) Aur tum kya jaano kya hai vah chaknachoor kar dene wali jagah? (6) Allah ki aag, khoob bhadkai hui. (7) Jo dilo tak pahuchegi. (8) Vah un par dhaap kar band kar di jayegi. (9) (Is haalat mein ki ve) ucche-ucche istambha mein (ghire hue honge).

No comments:

Post a Comment