Friday, May 24, 2013

Surah 5- Al Maidah : Ayat 6

Surah 5- Al Maidah 

Ayat 6 : Hey imaan laanewalon ! Jab tum namaz ke liye utho to apne cheharon ko aur haaton ko kuhaniyon tak dho liya karo aur apne siron par haath fer lo aur apne pairon ko bhi takhano tak dho lo. Aur yadi napak ho to acchi tarah pak ho jao. Parantu yadi bimar ho ya safar mein ho ya tummein se koi sauch karke aaya ho ya tumne ishtriyon ko haath lagaya ho, fir pani na mile to pak miti se kaam lo. Uspar haath maarkar apne mooh aur haathon ko fer lo. Allah tumhein kisi tangi mein nahi dalna chahta*. Apitu vah chahta hai ki tumhein pavitra karein aur apni nemat tumpar poori kar dein, taaki tum kritigya bano.

_______________
*Balki usne tangi rakhi hi nahi. Janwaron ko jabah karte samay Allah ka naam lene se unka maas halal ho jata hai. Vivah se ishtri vaid ho jaati hain. Isi prakar vuju aur tayammum arthat mooh-haath kuhaniyon tak dhone aur sir par haath fherane tatha dono paav takhano tak dhone aur pani na milne par iske vikalp ke roop mein swach mitti se kaam lene ke paschat aadmi namaz padane ke layak ho jata hain.

No comments:

Post a Comment