Tuesday, November 20, 2012

SAFETY MATCHES BOX... TERE LIYE... CHAL KHELE...



Aankhein band ho to

Aankhein band ho to main bhi uska khawab dekh saku
Behichak-behisab dekh saku.

Shayad ubhar aaye uska chehara khawab mein
Kabhi usko benaqaab dekh saku.

#Romil

आँखें बंद हो तो मैं भी उसका खवाब देख सकूं
बेहिचिक-बेहिसाब देख सकूं

शायद उभर आये उसका चेहरा खवाब में
कभी उसको बेनकाब देख सकूं।  

#रोमिल

Khuda ke faisalon par

Khuda ke faisalon par kabhi ungaliyaan nahi uthate
Hum Hussain wale hai, shaheedon par matam nahi manate.

#Romil

खुदा के फैसलों पर कभी उंगलियाँ नहीं उठाते
हम हुसैन वाले है, शहीदों पर मातम नहीं मनाते।

#रोमिल

Monday, November 19, 2012

Tujhe us waqt rulayegi meri kami Chand

Tujhe us waqt rulayegi meri kami Chand
Jab mehboob tera tujhse pehle so jaya karega.

#Romil

तुझे उस वक़्त रुलायेगी मेरी कमी चाँद
जब महबूब तेरा तुझसे पहले सो जाया करेगा...

#रोमिल

Kaudiyaa... Tere-Mere Liye... Chal Khele


Tamam Umar Sher Ki Tarah Dahadate Rahe...

Tamam umar Sher ki tarah dahadate rahe
Apno se wafadar, gairon ke gunahgaar rahe
Yeh baat alag hai ki aadmi to acche the
Par sihashat ke saudebaaz rahe.

Ek chehare ke peeche hazar chehare rahe
Kabhi cartoonist, to kabhi teekhe shabdon ke baarn rahe
Yeh baat alag hai ki aadmi to acche the
Par kai khooni khangar par uske bhi ungaliyon ke nisaan rahe.

Yeh rang, yeh rubab, yeh faila hua jaadu uska
Dekh ke hum bhi hairaan rahe
Yeh baat alag hai ki aadmi to acche the
Par kuch apne shehar ke log ab bhi usse door-daraz rahe

aur

Aankhon mein antim samay bhi wahi Kala Chasma
Taki surat se seerat ki yaad dil-o-dimaag mein taaza rahe.

#Romil

तमाम उम्र शेर की तरह दहाड़ते रहे
अपनों से वफ़ादार, गैरों के गुनहगार रहे
यह बात अलग है की आदमी तो अच्छे थे
पर सियासत के सौदेबाज रहे...

एक चेहरे के पीछे हज़ार चेहरे रहे
कभी कार्टूनिस्ट, तो कभी तीखे शब्दों के बाण रहे
यह बात अलग है की आदमी तो अच्छे थे
पर कई खूनी खंज़र पर उसके भी उँगलियों के निशान रहे...

यह रंग, यह रूबाब, यह फैला हुआ जादू उसका
देख के हम भी हैरान रहे
यह बात अलग है की आदमी तो अच्छे थे
पर कुछ अपने शहर के लोग अब भी उससे दूर-दराज़ रहे...

और

आँखों में अंतिम समय भी वहीं काला चश्मा
ताकि सूरत से सीरत की याद दिल-ओ-दिमाग में ताज़ा रहे...

#रोमिल

Saturday, November 17, 2012

Suna hai Chand tere pass aashiyana nahi hai

Suna hai Chand tere pass aashiyana nahi hai
Chaho to mere aashiyane mein thehar jao

Is kadar na raat bhar fira karo banke aawara
Chaho to mere saaye ke saath ho jao  

Yeh taaron ki nazarein be-imaan hai
Chaho to naqabon mein aa jao

Chand, Iss umar ka hisaab khuda ko bhi dena hai
Chaho to meri saansein tootane se pehle chale aao.

#Romil

सुना है चाँद तेरे पास आशियाना नहीं है
चाहो तो मेरे आशियाने में ठहर जाओ

इस कदर न रात भर फिरा करो बनके आवारा
चाहो तो मेरे साए के साथ हो जाओ

यह तारों की नज़रें बे-ईमान है
चाहो तो नक़ाबों में आ जाओ

चाँद, इस उम्र का हिसाब खुदा को भी देना है
चाहो तो मेरी सांसें टूटने से पहले चले आओ।

#रोमिल