Monday, July 9, 2018

RadhaSoami Satsang Beas - Yeh to Ghar hai prem ka, Khaala ka ghar nahin...

Kabir Sahib farmaate hai ki Prem koi saral kaam nahi hai. Jo sheesh utaarkar bhoomi par dhar de, vahi Prem ke ghar mein pravesh kar sakta hai. Sheesh ko dharti par rakhkar upper pair rakho. Yadi itna sahas hai to is marg par aao. Yeh agam aur agaadh ka marg hai. Sheesh ko utaarkar pair tale rakho to Prem ka swad chakh sakoge.

Arthaat Aatma simatkar aankhon ke peeche aa jaye tab Prem ki gali mein pravesh hokar uske alaukik ras ko chakha ja sakta hai.

"Yeh to ghar hai prem ka, khaala ka ghar nahin.
Sheesh utaare bhuie dhare, tab paethe ghar mahin.
Sheesh utaare bhuie dhare, ta par raakhe paav,
Das Kabira yon kahe, aisa hoye to aav"

"Yeh to ghar hai prem ka, maarag agam agaadh.
Sheesh kaati pag tar dhare, tab nikat prem ka swad"

Sunday, July 8, 2018

RadhaSoami Satsang Beas - Jogi Jangam Sevdaa, Sanyaasi Darvesh.

"Jogi Jangam Sevdaa, Sanyaasi Darvesh.
Bina Prem Pahuche Nahin, Durlabh Satguru Des."

Kabir Sahib farmaate hai Yogi, Yati, Tapashvi, Sanyaasi aur Sufi koi bhi prem ke bina Satguru ke Desh mein nahi pahuch sakta.

Saturday, July 7, 2018

RadhaSoami Satsang Beas - Ranjha Ranjha kardi ni, main aape Ranjha hoie.

"Ranjha Ranjha kardi ni, main aape Ranjha hoie.
Saddo ni mainu dheedo Ranjha, Heer na aakho koi."

Sai Bulleshah heer ki jabani karte hai, Ranjha Ranjha ki rat lagate-lagate main swayam hi Ranjha ban gai hun. 

Behno, mujhe Ranjha kehkar pukaro. Mujhe Heer koi na kahe.

Friday, July 6, 2018

RadhaSoami Satsang Beas - Prabhu ek hi hai, sab usi ke Noor se utpann hue hai...

Kabir Sahib farmaate hai ki Prabhu ek hi hai, sab usi ke Noor se utpann hue hai, sab usi ke bande hai. Jab us ek hi Noor se, us ek hi Prakash ke bhandar se sab aaye hai to main kise aacha kahu aur kise bura...

"Awal Allah Noor Upaieyaa kudrat ke sab bande.
Ek Noor te sabh jag upjiya kaun bhale ko mande."

Wednesday, July 4, 2018

Radha Soami Satsang Beas - Parmatama ka Gyan aur Prem...

Parmatama ka Gyan aur Prem, sadharan nek karmo, Ann aadi ke Daan, Vedon ke Paath aur Pani, Agni aur Surya ki puja aadi kisi bhi sadhan dwara prapt nahi ho sakta. Vah keval Santon ki Charan-Dhuli mein isnaan karne se prapt ho sakta hai. 

- Mahatma Jadbharat

Tuesday, July 3, 2018

Radha Soami Satsang Beas - Jis prakaar behti hui nadiya samundar mein sama jaati hai...

Jis prakaar behti hui nadiya samundar mein sama jaati hai aur apna naam aur roop gawan deti hai, usi prakaar Brahm ko janne wala Naam aur Roop se mukt hokar pare se pare jo Divya Purush hai, usko prapt kar leta hai. Jo us Param Brahm ko jaan leta hai, wah Brahmroop hi ho jata hai.

राधा स्वामी सतसंग व्यास - शिवे रुष्टे गुरुस्त्राता, गुरौ रुष्टे न कश्यन।

शिवे रुष्टे गुरुस्त्राता, गुरौ रुष्टे न कश्चन।

अर्थात् यदि शिव रूठ जाये तो गुरु हमें बचा सकता है पर यदि गुरु रूठ जाये तो हमे बचाने वाला कोई नहीं।