Wednesday, July 4, 2018

Radha Soami Satsang Beas - Parmatama ka Gyan aur Prem...

Parmatama ka Gyan aur Prem, sadharan nek karmo, Ann aadi ke Daan, Vedon ke Paath aur Pani, Agni aur Surya ki puja aadi kisi bhi sadhan dwara prapt nahi ho sakta. Vah keval Santon ki Charan-Dhuli mein isnaan karne se prapt ho sakta hai. 

- Mahatma Jadbharat

Tuesday, July 3, 2018

Radha Soami Satsang Beas - Jis prakaar behti hui nadiya samundar mein sama jaati hai...

Jis prakaar behti hui nadiya samundar mein sama jaati hai aur apna naam aur roop gawan deti hai, usi prakaar Brahm ko janne wala Naam aur Roop se mukt hokar pare se pare jo Divya Purush hai, usko prapt kar leta hai. Jo us Param Brahm ko jaan leta hai, wah Brahmroop hi ho jata hai.

राधा स्वामी सतसंग व्यास - शिवे रुष्टे गुरुस्त्राता, गुरौ रुष्टे न कश्यन।

शिवे रुष्टे गुरुस्त्राता, गुरौ रुष्टे न कश्चन।

अर्थात् यदि शिव रूठ जाये तो गुरु हमें बचा सकता है पर यदि गुरु रूठ जाये तो हमे बचाने वाला कोई नहीं।

Monday, July 2, 2018

Radha Soami Satsang Beas - RadhaSoami Ji

Santo ki parampara mein Agra mein Seth Shivdayal Singh Ji hue jo Swami Ji Maharaj ke naam se prasidh hue. Unhone Kul-Malik ko RadhaSoami kehkar pukara. Parmatama ko 'Swami', 'Swami' kehkar to sabhi mahatmao ne yaad kiya hai. Swami Ji Maharaj ne uske saath 'Radha' lafz aur jod diya. Jeevatma ko aapne 'Radha' kehkar pukara jiska Swami Kul-Malik Parampita Parmatama hai. Unhone Kul-Malik ko Aatma ka Swami arthaat 'RadhaSoami' naam se yaad kiya hai.

Jaisa ki aapne farmaya hai...

'Radha aadi Surat ka naam. Swami aadi Shabd nij dhaam,
Surat Shabd aur RadhaSoami. Dono naam ek aur jaani'

Sunday, July 1, 2018

Radha Soami Satsang Beas - Baani ek-roop hone par bhi...

Jis prakaar Nehar ke jal ka pravah ek-roop hone par bhi anek prakaar ke vraksho mein pahuchkar anek roop ho jaata hai. 

Arthaat vah Baani ek-roop hone par bhi tarah-tarah ke sunnewalo ke pass pahuchkar anek roop ho gai hai.

Radha Soami Satsang Beas - Aadi mein Shabd tha...

Aadi mein Shabd tha, Shabd Parmatama ke saath tha aur Shabd hi Parmatama tha. Shuru se yeh Parmatama ke saath tha. Isi Shabd se sab cheeze bani aur aisi koi cheez nahi, jo iske bagair bani.

Friday, June 22, 2018

Markus 11:24-26. Naya Niyam.

Markus 11:24-26

Naya Niyam.

(24) Isliye main tumse kehta hun, ki jo kuch tum prathana mein mangate ho vishwas karo ki use pa chuke ho, aur vah tumhe mil jayega. (25) Aur jab kabhi tum khade hokar prathana karo to yadi tumhare mann mein kisi ke prati kuch virodh hai to kshama karo, jisse ki tumhara Pita jo swarg mein hai tumhare bhi apradh kshama kare. (26) Yadi tum kshama nahi karoge to tumhara Pita bhi jo swarg mein hai tumhare apradh kshama nahi karega.