Teri aakhon ki namkeen mastiyaan
Teri hansi ki beparwah gustakhiyaan
Teri zulfon ki lehraati angdaaiyaan
Nahin bhoolunnga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
Tera haath se haath chodna
Tera saayon ka rukh modna
Tera palat ke phir na dekhna
Nahin maaf karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
Baarishon mein bedhadak tere naachne se
Baat baat e bewajah tere roothne se
Chhoti chhoti teri bachkaani badmaashiyon se
Mohabbat karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
Tere jhoothe kasme vaadon se
Tere jalte sulagte khaabon se
Teri bereham duaaon se
Nafrat karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
No comments:
Post a Comment