Friday, July 13, 2018

RSSB - Ped ki vishaltaa dekhkar achraj hota hai ki...

Ped ki vishaltaa dekhkar achraj hota hai ki kaise itne chhote-se beejh ne itne bade pedh ka roop le liya... 
Itna vishal Dera ban gaya...

sab Swami Huzur Maharaj ji ki kripa hai...

radhasoami ji...

RSSB - Kabhi apna haath mangane ke liye mat fhelana, hamesha dene ke liye hi badhana...

"kabhi apna haath mangane ke liye mat fhelana,
hamesha dene ke liye hi badhana"

radhasoami ji...

Thursday, July 12, 2018

Gurudev Satigur Paarbrahm Parmesar Gurdev Nanak Har Namaskaraa...

"Gurdev Satigur Paarbrahm Parmesar Gurdev Nanak Har Namaskaraa."

Sri Guru Arjun Dev Ji Maharaj fharmaate hai ki Gurudev Mata hai, Gurudev hi Pita hai, Gurudev Swami tatha Parmeshwar hai, Gurudev Sukh dene wala saccha Sakha hai jo kabhi chhodata nahi. Vah agyaan ka naash karne wala hai. Gurudev Hari ke naam ki daat pradaan karne wala aur Shanti aur Satya ki prataksha murti hai. Vah paras hai, sab papo ka naash karne wala aur patit-pavan hai. Vah ek teertha hai jahan Gyan athava Amrit ka Sarovar hai jismein isnaan karke jeev pavitra ho jaata hai. Gurudev ke mantra ka jo Hari ka mantra hai, Jaap karne se jeev ka uddhaar ho jaata hai. Hey Parmatama! Kripa karke Gurudev ka milaap pradaan karke hum murakh papiyon ko paar laga. Guru Satguru, Paarbrahm aur Parmeshwar hai. Aise Gurudev ko hum namaskaar karte hai."

Tuesday, July 10, 2018

RadhaSoami Satsang Beas - Sant-Satguru chahe kisi bhi Kaum...

Sant-Satguru chahe kisi bhi Kaum, Majhab, Mulak ya Desh mein kyon na ho, unki drishti keval Aatma tatha Aatamikta ki oor hoti hai. Veh koi Naya Majhab ya naye rashmo-riwaaj nahi banate. Ve na kisi andhvishwas ko maante hai aur na kisi aur ko andhvishwaso ka qaidi banaate hai. Ve jeete-jee mukti prapt karne ka marg dikhate hai, marne ke baad ki mukti ka bharosa nahi dilaate.

Monday, July 9, 2018

RadhaSoami Satsang Beas - Yeh to Ghar hai prem ka, Khaala ka ghar nahin...

Kabir Sahib farmaate hai ki Prem koi saral kaam nahi hai. Jo sheesh utaarkar bhoomi par dhar de, vahi Prem ke ghar mein pravesh kar sakta hai. Sheesh ko dharti par rakhkar upper pair rakho. Yadi itna sahas hai to is marg par aao. Yeh agam aur agaadh ka marg hai. Sheesh ko utaarkar pair tale rakho to Prem ka swad chakh sakoge.

Arthaat Aatma simatkar aankhon ke peeche aa jaye tab Prem ki gali mein pravesh hokar uske alaukik ras ko chakha ja sakta hai.

"Yeh to ghar hai prem ka, khaala ka ghar nahin.
Sheesh utaare bhuie dhare, tab paethe ghar mahin.
Sheesh utaare bhuie dhare, ta par raakhe paav,
Das Kabira yon kahe, aisa hoye to aav"

"Yeh to ghar hai prem ka, maarag agam agaadh.
Sheesh kaati pag tar dhare, tab nikat prem ka swad"

Sunday, July 8, 2018

RadhaSoami Satsang Beas - Jogi Jangam Sevdaa, Sanyaasi Darvesh.

"Jogi Jangam Sevdaa, Sanyaasi Darvesh.
Bina Prem Pahuche Nahin, Durlabh Satguru Des."

Kabir Sahib farmaate hai Yogi, Yati, Tapashvi, Sanyaasi aur Sufi koi bhi prem ke bina Satguru ke Desh mein nahi pahuch sakta.

Saturday, July 7, 2018

RadhaSoami Satsang Beas - Ranjha Ranjha kardi ni, main aape Ranjha hoie.

"Ranjha Ranjha kardi ni, main aape Ranjha hoie.
Saddo ni mainu dheedo Ranjha, Heer na aakho koi."

Sai Bulleshah heer ki jabani karte hai, Ranjha Ranjha ki rat lagate-lagate main swayam hi Ranjha ban gai hun. 

Behno, mujhe Ranjha kehkar pukaro. Mujhe Heer koi na kahe.