Tuesday, June 19, 2018

Naya Niyam. Yuhanna 12:24-25

Main tumse sach-sach kehta hun ki jab tak gehu ka daana bhoomi mein padhkar marr nahi jaata, vah akela rehta hai; parantu yadi marr jata hai to bahut fhal laata hai. Jo apne pran ko priye janta hai vah use kho deta hai aur jo apne pran ko is jagat mein apriye janta hai vah use anant jeevan tak bachaye rakhega.

- Yuhanna 12:24-25

Naya Niyam.

Friday, June 15, 2018

Surah 114: An-Nas. Ayat-1-6

Surah 114: An-Nas

Ayat-1-6

(1) Kaho, main panah mangata hun, insaano ke Rab. (2) Insaano ke badshah. (3) Insaano ke vastavik pujya ki. (4) Us vasvase (Brahm) dalne wale ki burai se jo baar-baar palat kar aata hai. (5) Jo logon ke dilo mein vasvase dalta hai. (6) Chahe vah Jinnoh mein se ho ya Insaano mein se.

Thursday, June 14, 2018

Surah 99: Aj-Zalzalah. Ayat-1-8

Surah 99: Aj-Zalzalah

Ayat-1-8

(1) Jab zameen apni poori shiddat se hila di jayegi. (2) Aur zameen apne andar ke saare bhoj nikaal kar bahar daal degi. (3) Aur insaan kahega ki yeh isko kya ho raha hai? (4) Us din vah apne (upper beete hue) halaat bayaan karegi. (5) Kyonki tere Rab ne use (aisa karne ka) aadesh diya hoga. (6) Us din log vibhin dasha mein paltenge, taaki unke karma unko dikhaye jaye. (7) Fir jis kisi ne kar-bhar neki ki hogi vah usko dekh lega. (8) jisne kar-bhar burai ki hogi vah usko dekh lega.

Wednesday, June 13, 2018

Surah 31: Luqman. Ayat-34

Surah 31: Luqman

Ayat-34

Us ghadi ka gyan Allah hi ke pass hai, vahi varsha karta hai, wahi janta hai ki maao ke peto mein kya pal raha hai, koi prani nahi janta ki kal vah kya kamai karnewala hai, aur na kisi vyakti ko yeh khabar hai ki kis bhubhaag mein uski maut aani hai, Allah hi sab kuch janne wala aur khabar rakhne wala hai.

Tuesday, June 12, 2018

Surah 57: Al-Hadid. Ayat-22-24

Surah 57: Al-Hadid.

Ayat-22-24

(22) Koi musibat aisi nahi jo zameen mein ya tumhare apne upper utarati ho aur humne usko paida karne se pehle ek kitab (arthatya Bhagya-Pratika) mein likh na rakha ho. Aisa karna Allah ke liye bahut asaan kaam hai. (23) (yeh sab kuch isliye hai) taki jo kuch bhi haani tumhe ho us par tumhara dil chhota na ho aur jo kuch Allah tumhe pradan kare us par phool na jao. Allah aise logon ko pasand nahi karta jo apne aap ko badi cheez samajhate hai aur dheenge maarte hai. (24) Jo khud kanjoosi karte hai aur dusaron ko kanjoosi karne par uksaate hai. Ab agar koi mooh modhata hai to Allah nispreh (Beniyaaz) aur prasansneeh hai.

Monday, June 11, 2018

Surah 39: Az-Zumar. Ayat-42

Surah 39: Az-Zumar

Ayat-42

Woh Allah hi hai jo maut ke samay ruhoon (prano) ko grash leta hai aur jo abhi nahi maraa hai uske pran neend mein grash leta hai, fir jispar woh maut ka faisala lagoo karta hai, use rok leta hai aur dusaron ki aatmao ko ek niyat samay ke liye wapas bhej deta hai. Isme badi nisaniyaan hai un logon ke liye jo soch-vichar karne wale hai.

Sunday, June 10, 2018

Surah 23: Al-Mu'minun. Ayat-43-44

Surah 23: Al-Mu'minun

Ayat-43-44

(43) Kisi Kaum ka na apne samay se pehle ant hua aur na uske baad thehar saki. (44) Fir humne lagatar apne Rasool bheje. Jis Kaum ke pass bhi uska Rasool aaya, usne use jhutlaya, aur hum ek ke baad ek kaum ko tabah karte chale gaye, yahan tak ki unko bas kahani hi banakar chhoda-fhitkaar un logon par jo emaan nahi laate.