Monday, June 11, 2018

Surah 39: Az-Zumar. Ayat-42

Surah 39: Az-Zumar

Ayat-42

Woh Allah hi hai jo maut ke samay ruhoon (prano) ko grash leta hai aur jo abhi nahi maraa hai uske pran neend mein grash leta hai, fir jispar woh maut ka faisala lagoo karta hai, use rok leta hai aur dusaron ki aatmao ko ek niyat samay ke liye wapas bhej deta hai. Isme badi nisaniyaan hai un logon ke liye jo soch-vichar karne wale hai.

Sunday, June 10, 2018

Surah 23: Al-Mu'minun. Ayat-43-44

Surah 23: Al-Mu'minun

Ayat-43-44

(43) Kisi Kaum ka na apne samay se pehle ant hua aur na uske baad thehar saki. (44) Fir humne lagatar apne Rasool bheje. Jis Kaum ke pass bhi uska Rasool aaya, usne use jhutlaya, aur hum ek ke baad ek kaum ko tabah karte chale gaye, yahan tak ki unko bas kahani hi banakar chhoda-fhitkaar un logon par jo emaan nahi laate.

Saturday, June 9, 2018

Surah 37: As-Saffat. Ayat-6-10.

Surah 37: As-Saffat

Ayat-6-10

(6) Humne duniya ke aasman ko taron ki sobha se susajjit kiya hai. (7) Aur har sarkash Shaitan se usko surakshit kar diya hai. (8) Yeh Shaitan sabse ucch darbarwalon ki baatein nahi sun sakte, har taraf se maare aur haake jaate hai. (9) aur unke liye nirantar ajaab hai. (10) is par bhi agar koi unmein se kuch le ude to ek tez jwala unka peecha karti hai.

Friday, June 8, 2018

Surah 11: Hud. Ayat-6

Surah 11: Hud

Ayat-6

Zameen mein chalne wala koi jaandaar aisa nahi hai jiski roji Allah ke jimme na ho aur jiske baare mein vah na janta ho ki kahan vah rehta hai aur kahan vah saupa jata hai, sab kuch ek ispastha register mein darj hai.

Thursday, June 7, 2018

Surah 53: An-Najm. Ayat-26-28

Surah 53: An-Najm

Ayat-26-28

Aasmano mein kitne hi Faristee maojud hai, unki shifharis kuch bhi kaam nahi aa sakti jab tak ki Allah kisi aise vyakti ke haq mein uski anumati na de jiske liye wah koi nivedan sunna chahe aur usko pasand kare. (27) Magar jo log aakhirat ki nahi manate veh Fariston ko deviyon ki sangya dete hai. (28) Halaki is mamle ka koi gyan unhein prapat nahi hai, veh sirf atkal ke peeche chal rahe hai, aur atkal satya ki jagah kuch bhi kaam nahi de sakti.

Wednesday, June 6, 2018

Surah 37: As-Saffat. Ayat-180-182

Surah 37: As-Saffat.

Ayat-180-182

(180) Pavitra hai tera Rab, Gaurav ka Swami, un sabhi baaton se jo yeh log bana rahe hai. (181) Aur Salam hai Rasoolon par, (182) aur saari prasansha Allah saare jahan ke Rab hi ke liye hai.

Tuesday, June 5, 2018

Surah 17: Bani Israel. Ayat-110-111

Surah 17: Bani Israel

Ayat-110-111

(110) Aye Nabi, inse kaho, "Allah kehkar pukaro ya Rehman kehkar, jis naam se bhi pukaro uske liye sab acche hi naam hai". Aur apni namaz na bahut jyada ucchi awaaz se padho aur na bahut dabi awaaz se, in dono ke beech aushat darje ka lehja apnao. (111) Aur kaho prasansa hai us Allah ke liye jisne na kisi ko Beta banaya, na koi shasan hi mein uska sajhidaar hai, aur na vah bebas hai ki koi uska himayati ho". Aur uski badhai bayaan karo, ucch koti ki badhai.