Monday, June 4, 2018

Surah 23: Al-Mu'minoon. Ayat-116-118

Surah 23: Al-Mu'minoon

Ayat-116-118

(116) To Sarvoccha hai Allah, vastavik Badshah, koi pujya uske siva nahi, Swami hai, Mahimashaali Singhasan ka. (117) Aur jo koi Allah ke saath kisi aur pujya ko pukare, jiske liye uske pass koi praman nahi hai, to uska hisab uske Rab ke pas hai. Aise inkaar karne wale (Kaafir) kabhi safalta prapat nahi kar sakte.

(118) Aye Nabi, kaho, mere Rab maaf kar aur daya kar, tu sab dayawano se aacha dayavaan hai.

Sunday, June 3, 2018

Surah 45: Al-Jasiyah. Ayat-26-27

Surah 45: Al-Jasiyah

Ayat-26-27

(26) Hey Nabi, inse kaho, Allah hi tumhein zindagi pradan karta hai, fir wahi tumhe maut deta hai, fir wahi tumko Qayamat ke din ekattha karega jiske aane mein koi shaqk nahi hai, magar adhiktar log jante nahi hai. (27) Zameen aur aasmano ka raj (Badshahi) Allah hi ka hai, aur jis din Qayamat ki ghadi aa khadi hogi us din jhootvale ghate mein padh jayenge.

Saturday, June 2, 2018

Surah 6 : Al'am. Ayat-111

Surah 6 : Al'am

Ayat-111

Agar hum faristee bhi inpar utaar dete aur murde inse baatein karte aur duniya bhar ki cheezon ko hum inki aankhon ke samne ekattha kar dete tab bhi yeh emaan laane wale na the yeh aur baat hai ki Allah hi yahi chahta ho (ki yeh emaan laaye) magar jyadatar log nadani ki baatein karte hai.

Friday, June 1, 2018

Surah 5 : Al-Maidah. Ayay-120

Surah 5: Al-Maidah

Ayat-120

Zameen aur aasmano aur jo kuch usmein hai, sabki baadshahi Allah hi ke liye hai aur vah har cheez ki kudrat rakhta hai.

Thursday, May 31, 2018

Surah 2 : Al-Baqarah. Ayat-284

Surah 2: Al-Baqarah

Ayat-284

Aasmano aur zameen mein jo kuch hai sab Allah ka hai. Tum apne dil ki baatein chahe khol do, ya chhipao Allah har haal mein unka hisab tum se le lega. Fir use adhikaar hai, jise chahe maaf kar de aur jise chahe, saza de. Use har cheez par kudrat haasil hai.

Wednesday, May 30, 2018

Surah 35: Fatir. Ayat-1-2

Surah 35: Fatir

Ayat - 1-2

(1) Tareef Allah hi ke liye hai jo aasmano aur zameen ka banane wala aur fariston ko sandeshwahak niyukt karne wala hai, (Aise Faristee), jinke do-do, teen-teen aur chaar-chaar bhujaye hai. Vah apni Srishti-Sanrachana mein jaisa chahta hai abhivriddhi karta hai, yakeenan Allah ko sab cheez ki samartha prapt hai. (2) Allah jis rehmat ka darwaza bhi logon ke liye khol de use koi rokane wala nahi. Aur jise vah band kar de use Allah ke baad fir koi dusara kholane wala nahi. Vah prabhutvshaali aur tatvadarshi hai.

Tuesday, May 29, 2018

Surah 17: Bani Israel. Ayat-88

Surah 17: Bani Israel

Ayat - 88

Keh do ki agar insaan aur jinn sab ke sab milkar is Quran jaisi koi cheez laane ki koshish karein to na la sakenge, chahe veh sab ek-dusare ke sahayak hi kyon na ho.