Surah 9: At-Tauba
Ayat-71-72
(71) Emaan wale mard aur Emaan wali auratein, yeh sab ek-dusare ke saathi hai, bhalai ka hukm dete hai aur burai se rokte hai, namaaz qayam karte hai, jakaat dete hai, aur Allah aur uske Rasool ka agyapalan karte hai. Yeh woh log hai jin par Allah ki dayaluta utar kar rahegi, yakeenan Allah ko sab par prabhutv prapat hai aur vah tatvadarshi aur sarvagya hai. (72) In Emaan wale mardon aur Emaan wali auraton se Allah ka vaada hai ki unhein aise baag dega jinke neeche nehre behti hogi aur veh unmein hamesha rahenge. Un sada bahaar baagon mein unke liye pakeezah tehrane ki jagah hogi, aur sabse badhkar yeh ki Allah ki prasannata unhe prapat hogi. Yahi badi safalta hai.