Monday, May 21, 2018

Surah 1: Al-Fatiha - Ayat 1-7

Surah 1: Al-Fatiha

Ayat - 1-7

(1) Prasansa Allah hi ke liye hai jo saare jahan ka Rab hai. (2) Bada hi meharbaan aur daya karne wala hai. (3) Badla diye jaane ke din ka Malik hai. (4) Hum teri hi bandagi karte hai aur tujhi se madad mangate hai. (5) Humein seedha marg dikha. (6) Un logon ka marg jo tere kripa-patra hue. (7) Jo prakop ke bhagi nahi hue, jo bhatke hue nahi hai.

Surah 21: Al Anbiya - Ayat 19-20

Surah 21: Al Anbiya

Ayat 19-20

(19) Zameen aur aasmano mein jo kuch bhi hai Allah ka hai. Aur jo (Faristee) uske pass hai ve na apne ko bada samajhkar uski bandagi se mooh fherate hai aur na dukhi hote hai. (20) Raat aur din uski tasbeeh karte rehte hai, dum nahi lete.

Surah 79: Ann-Nazi'at - Ayat 1-5

Surah 79 - Ann-Nazi'at

Ayat 1-5

(1) Kasam hai un (Fariston) ki jo dubb kar khechate hai. (2) Aur dheere se nikaal le jaate hai, (3) Aur (Un Fariston ki jo vayumandal mein) tezi se tairate firte hai. (4) Fir (Adeshanupalan mein) agrsarta dikhate hai. (5) Fir (Ishwariye aadeshon ke anusaar) mamlon ka intezaam chalate hai.