Showing posts with label Quran Se. Show all posts
Showing posts with label Quran Se. Show all posts

Thursday, May 2, 2013

Surah 42 : Ash Shuraa - Ayat 49-50

Surah 42 : Ash Shuraa 

Ayat 49-50 : Allah ki hi hai akasho aur dharti ki badshahi. Vah jo chahta hai paida karta hai, jise chahta hai ladkiyaan deta hai aur jise chahta hai ladke deta hai. Ya unhe ladke aur ladkiyaan mila-julakar deta hai aur jise chahta hai ni-santan rakhata hai. Nischay hi vah sarvagya, samarthavaan hai.

Wednesday, May 1, 2013

Surah 71 : Noah - Ayat 4

Surah 71 : Noah 



Ayat 4 - Vah tumhe kshama karke tumhare gunahon se tumhein pak kar dega aur ek nischit samay tak tumhein muhalat dega. Nischay hi jab Allah ka nischit samay aa jata hai vah talta nahin, kaash ki tum jante !

Surah 33 : Al Ahjab - Ayat 35

Surah 33 : Al Ahjab 

Ayat 35 - Muslim purus aur muslim istiriya, imanwale purus aur imanwali istiriya, nishtapurvak agyapalan karnewale purus aur nishtapurvak agyapalan karnewali istiriya, satyavadi purus aur satyavadi istiriya, dheryavaan purus aur dherya rakhanewali istiriya, vinarmata dikhane wale purush, vinarmata dikhane wali istiriya, sadka dene wale purush, sadka deniwali istiriya, roja rakhane wale purush, roja rakhanewali istiriya, apne guptangoo ki raksha karne wale purush aur raksha karne wali istiriya aur Allah ko adhik yaad karne wale purush aur yaad karnewali istiriya - Inke liye Allah ne kshama aur badapatidaan taiyaar kar rakha hai. 

Tuesday, April 30, 2013

Surah 24 : Al Nur - Ayat 61

Surah 24 : Al Nur 

Ayat 61 - Na andhe ke liye haraj hai, na langade ke liye koi haraj hai aur na rogi ke liye koi haraj hai aur na koi tumhare apne liye is baat mein ki tum apne gharon mein khao aur apne bapo ke gharon se ya apni maao ke gharon se ya apne bhaiyon ke gharon se ya apni behano ke gharon se ya apne chachao ke gharon se ya apni fhufiyon ke gharon se ya apne mamao ke gharon se ya apni khalao ke gharon se ya jiski kunjiyon ke malik hue ho ya apni mitr ke yahan. Ismein tumhare liye koi haraj nahi hai ki tum milkar khao ya alag-alag. Haan, Albatta jab gharon mein jaya karo to apne logon ko salam kiya karo, abhivadan Allah ki oar se niyat kiya hua, barkatwala aur atyadhik pak. Is prakar Allah tumhare liye apne aayaton ko ispastha karta hai, taki tum buddhi se kaam lo.

Monday, April 29, 2013

Surah 2 : Al Baqarah - Ayat 177

Surah 2 : Al Baqarah 

Ayat 177 - Neki keval yeh nahi hai ki tum apne mooh purab aur paschim ki oor kar lo, balki neki to uski neki hai jo Allah, antim din, farishton, kitab aur nabiyon par emaan laya, aur maal, uske prati prem ke bawajud, natedaron, aanatho, mohtazon, musafiron aur manganewalon ko diya aur gardane chhudane mein bhi, aur namaz qayam ki aur jakaat di aur apne vachan ko aise log poora karnewale hai jab vachan dein, aur tangi aur vishesh roop se shahririk kashton mein aur ladai ke samay mein jamnewale hai, aise hi log hai jo sacche sidh hue aur vahi log darr rakhane wale hai.

Saturday, April 27, 2013

Surah 40, Al Momin : Ayat 39-40

Surah 40, Al Momin

Ayat 39-40 : Aye meri kaum ke logo ! yeh sansarik jeevan to bas ahistai upbhog hai. Nischay hi isthai roop se tehrane ka ghar to akhirat hi hai.

Jis kisi ne burai ki to use vaisa hi badla milega, kintu jis kisi ne accha karm kiya, chahe vah purush ho ya ishtri, kintu ho vah momin, to aise log jannat mein pravesh karenge. Vahan unhein be-hisab diya jayega.

Surah 6 : Al-An'Am Ayat 151

Surah 6 : Al-An'Am

Ayat 151 : Keh do : "Aao, main tumhein sunau ki tumhare Rab ne tumhare upper kya pabandiya lagai hai : yeh ki kisi cheez ko uska saajidaari na tehrao aur maa-baap ke saath sd-vyavhar karo aur nirdhanta ke karan apne santan ki hatya na karo; hum tumhein bhi roji dete hai, unhein bhi. aur ashleel baaton ke nikat na jao, chahe ve khuli ho ya chippi hui ho. aur kisi jeev ki , jise Allah ne aadarniye tehraya hai, hatya na karo. Yeh aur baat hai ki haq ke liye aisa karna pade. Yeh baatein hai, jinki taaqeed usne tumhein ki hai, shayad ki tum buddhi se kaam lo.

Surah 4 An Nisa Ayat 135

Surah 4 An Nisa

Ayat 135 : Hey Imaan laanewalon ! Allah ke liye gawahi dete hue insaaf par mazbooti ke saath jame raho, chahe wah swayam tumhare apne ya maa-baap aur naatedaron ke virudh hi kyon na ho. Koi dhanwan ho ya nirdhan (jiske virudh tumhein gawahi deni pade) Allah ko unse (tumse kahi badhkar) nikatta ka sambandh hai, tu tum apni iccha ke anupalan mein nyay se na hato, kyunki yadi tum her-fer karoge ya katraoge, to jo kuch tum karte ho Allah ko uski khabar rahegi. 

Friday, April 26, 2013

Surah 17 : Bani Israel - Ayat 23-24

Surah 17 : Bani Israel

Ayat 23-24 : Tumhare Rab ne faisala kar diya hai ki uske siwa kisi ki bandagi na karo aur maa-baap ke saath accha vyavhar karo. Yadi unmein se koi ek ya dono hi tumhare samne budhape ko pahuch jaye to unhein 'Unh' tak na kaho aur na unhein jhidko, balki unse shisthapurvak baat karo.

Aur unke aage dayaluta se narmata ki bhujaye bichaye rakho aur kaho "Mere Rab ! Jis prakar unhone balkaal mein mujhe paala hain, tu bhi unpar daya kar"

Surah 2 : Al Baqarah - Ayat 268

Surah 2 : Al Baqarah

Ayat 268 :  Shaitan tumhe nirdhanta se darata hai aur nirlajjata ke kaamo par ubharata hai, jabki Allah apni kshama aur udar kripa ka tumhe vachan deta hai. Allah badi sagaiwala, sarvagya hai.