Friday, November 16, 2012

Chand se Chand ki tarah mohabbat kare koi

Chand se Chand ki tarah mohabbat kare koi
Waafa bhi aisi ki mehfil-e-sitaron ke beech bhi tanha rahe koi.

Manzilon ki aarzoo na rahe
Is tarah haath pakadkar raah-e-safar mein saath chale koi

Waqt ki ghadiyan kam padne lage
Itni ibadat se apna intezaar kare koi 

Aur Tooti hui bediyaan shaheedon ki kehne lagi
Is tarah junoon-e-azadi ke liye lade koi. 

#Romil

चाँद से चाँद की तरह मोहब्बत करे कोई
वफ़ा भी ऐसी की महफ़िल-ए-सितारों के बीच भी तन्हा रहे कोई

मंजिलों की आरज़ू न रहे
इस तरह हाथ पकड़कर राह-ए-सफ़र में साथ चले कोई

वक़्त की घड़ियाँ कम पड़ने लगे
इतनी इबादत से अपना इंतज़ार करे कोई

और टूटी हुई बेड़ियाँ शहीदों की कहने लगी
इस तरह जूनून-ए-आज़ादी के लिए लड़े कोई।

#रोमिल

No comments:

Post a Comment