Friday, November 16, 2012

Baadalon mein chhupta firta rehta hai...

Baadalon mein chhupta firta rehta hai
Mujhse nazrein milane se darta hai
Janta hai bewafai ki hai usne
Akele rahega to gunah satayenge use
Isliye Chand hamesha taaron ki mehfilon mein rehta hai.

Aur gupchup mujhe niharata hai
Samajhata hai main nahi janta hoon
Magar bhool gaya hai woh
Raat mein jagane ka hunar usi se to maine seekha hai.

#Romil

बादलों में छुपता फिरता रहता है
मुझसे नज़रें मिलाने से डरता है
जानता है बेवफाई की है उसने
अकेले रहेगा तो गुनाह सतायेंगे उसे
इसलिए चाँद हमेशा तारों की महफिलों में रहता है।

और गुपचुप मुझे निहारता है
समझता है मैं नहीं जानता हूँ
मगर भूल गया है वोह
रात में जगाने का हुनर उसी से तो मैंने सीखा है।

#रोमिल

No comments:

Post a Comment