Monday, October 8, 2012

SACCHE BHAKTI KE VIBHIN ANG

SACCHI BHAKTI KE VIBHIN ANG

1. Ishwar ke andar atut vishwas.

2. Karn-Karn mein ishwar ka aashtitva manna.

3. Ishwar se aadhik santo (Guru) ko manna (Guru sewa karna). Apne purvajon ka hamesha hit chahana, unke moksha prapti ke liye sewa, daan, dharm-karya karna.

4. Dusaron ke doshon ko sapne mein bhi na dekhana.

5. Safalta mein shestra hokar aatyadhik harshist na hona aur asafalta mein shok na karna.

6. Sab vyaktiyon se saral, sadaran aur chhal-rahit vyavhar karna.

7. Sajjano ke yog jo dharm-karya hai usmein lage rehna (Jaise nirdhan-dukhi logon ki sewa).

8. Yatha-Yog labh mein santosh karna, anavyashak lobh, sanchey ka tyag karna.

9.Ishwar ke naam ka jaap karna,  katha sunna,  bhajan karna, ishwar ke gunno ka anusaran karna.

10. Sadachar ka palan karna.

No comments:

Post a Comment