Sunday, October 7, 2012

PREM

PREM

1. Prem ke na milne par bhi jo apne premi saathi ka aahit nahi chahata, wahi saccha premi hai.

2. Prem satya hai, Shiva hai aur sundar bhi hai.

3. Prem ka dusara naam ishwar hai.

4. Prem woh adrash shakti hai, jo do dilon ke beech setu banati hai.

5. Prem yani ki zameen, yani ki aasmaan, yani ki sapno ka sach hona.

6. Prem jiska hona hi, ishwar ki pramaarta sidh karta hai.

7. Prem jal ki woh boondh hai jo umar bhar ki pyas ki intiha hai.

8. Prem jiska hona hi saare sukhon ki prapti hai.

9. Prem ek taaqat hai, prem kamjoori bhi hai.

10. Prem hi is sansar ki utpatti ka pramukh karan hai.

No comments:

Post a Comment