Sunday, October 28, 2012

Humko yeh gila hai...

Humko yeh gila hai
Yeh jo tanha raaton ka silsila hai
Khatam hi nahi ho raha hai

Chehare se udasi ka saaya hi nahi ja raha hai

Yeh aankhein uske intezaar se thakti hi nahi hai
Hoontho par woh bacchon si hansi khilti hi nahi hai.

Ansuni aawazon ke bandhan mein ab hum bandhate hi nahi hai
Chand ko chhat se ab hum takkate hi nahi hai.

Woh raat ka naseela nasha aankhon mein nahi hai
Woh jawani, woh josh baahon ki qaid mein nahi hai.

Yeh jo raat bhar jagane ka silsila hai
Khatam hi nahi ho raha hai
Humko yeh gila hai
Yeh jo uspar ilzaam lagane ka silsila hai
Khatam hi nahi ho raha hai.

Man hi man uspar gussa hua karte hai
Uska naam likh kar usko goda karte hai
Humko yeh gila hai
Yeh jo  khud-ba-khud baaton ka silsila hai
Khatam hi nahi ho raha hai.

#Romil

हमको यह गिला है
यह जो तन्हा रातों का सिलसिला है
खत्म ही नहीं हो रहा है

चहरे से उदासी का साया ही नहीं जा रहा है

यह आँखें उसके इंतज़ार से थकती ही नहीं है
होंठो पर वोह बच्चों सी हंसी खिलती ही नहीं है.

अनसुनी आवाजों के बंधन में अब हम बंधते ही नहीं है
चाँद को छत से अब हम तकते ही नहीं है.

वोह रात का नशीला नशा आँखों में नहीं है
वोह जवानी, वोह जोश बाहों की क़ैद में नहीं है.

यह जो रात भर जागने का सिलसिला है
खत्म ही नहीं हो रहा है
हमको यह गिला है
यह जो उसपर इल्ज़ाम लगाने का सिलसिला है
खत्म ही नहीं हो रहा है

मन ही मन उसपर गुस्सा हुआ करते है
उसका नाम लिखकर उसको गोदा करते है
हमको यह गिला है
यह जो खुद-ब़ा-खुद बातों का सिलसिला है
खत्म ही नहीं हो रहा है

#रोमिल

No comments:

Post a Comment