Thursday, October 18, 2012

Chalo Samundar Ko Khangala Jaye

Chalo samunder ko khangala jaye
Jo raaz isme chupe hai nikala jaye
Woh gumo ko chupa kar muskura leta hai aise
Jaise kisi gulab ko kaanton ke beeche sajaya jaye.

Aur

Khuda ne jaari kar diya uske maut ka farmaan
Farishtee soch mein pad gaye kaise mare hue ko mara jaye.

Aur

Melo mein jakar woh dhoondhata hai ghar sajane ka samaan
Khuda mushkil mein hai us nageene ko kis ke haaton mein thamaya jaye.

#Romil

चलो समुंदर को खंगाला जाये
जो राज़ इसमें छुपे है निकाला जाये
वोह गमों को छुपाकर मुस्कुरा लेता है ऐसे
जैसे किसी गुलाब को काँटों के बीच सजाया जाये.

और

खुदा ने जारी कर दिया उसके मौत का फरमान
फ़रिश्ते सोच में पड़ गए कैसे मरे हुए को मारा जाये.

और

मेलों में जाकर वोह ढूँढता है घर सजाने का सामान
खुदा मुश्किल में है उस नगीने को किस के हाथों में थमाया जाये.

#रोमिल

No comments:

Post a Comment