Saturday, June 2, 2018

Surah 6 : Al'am. Ayat-111

Surah 6 : Al'am

Ayat-111

Agar hum faristee bhi inpar utaar dete aur murde inse baatein karte aur duniya bhar ki cheezon ko hum inki aankhon ke samne ekattha kar dete tab bhi yeh emaan laane wale na the yeh aur baat hai ki Allah hi yahi chahta ho (ki yeh emaan laaye) magar jyadatar log nadani ki baatein karte hai.

Friday, June 1, 2018

Surah 5 : Al-Maidah. Ayay-120

Surah 5: Al-Maidah

Ayat-120

Zameen aur aasmano aur jo kuch usmein hai, sabki baadshahi Allah hi ke liye hai aur vah har cheez ki kudrat rakhta hai.

Thursday, May 31, 2018

Surah 2 : Al-Baqarah. Ayat-284

Surah 2: Al-Baqarah

Ayat-284

Aasmano aur zameen mein jo kuch hai sab Allah ka hai. Tum apne dil ki baatein chahe khol do, ya chhipao Allah har haal mein unka hisab tum se le lega. Fir use adhikaar hai, jise chahe maaf kar de aur jise chahe, saza de. Use har cheez par kudrat haasil hai.

Wednesday, May 30, 2018

Surah 35: Fatir. Ayat-1-2

Surah 35: Fatir

Ayat - 1-2

(1) Tareef Allah hi ke liye hai jo aasmano aur zameen ka banane wala aur fariston ko sandeshwahak niyukt karne wala hai, (Aise Faristee), jinke do-do, teen-teen aur chaar-chaar bhujaye hai. Vah apni Srishti-Sanrachana mein jaisa chahta hai abhivriddhi karta hai, yakeenan Allah ko sab cheez ki samartha prapt hai. (2) Allah jis rehmat ka darwaza bhi logon ke liye khol de use koi rokane wala nahi. Aur jise vah band kar de use Allah ke baad fir koi dusara kholane wala nahi. Vah prabhutvshaali aur tatvadarshi hai.

Tuesday, May 29, 2018

Surah 17: Bani Israel. Ayat-88

Surah 17: Bani Israel

Ayat - 88

Keh do ki agar insaan aur jinn sab ke sab milkar is Quran jaisi koi cheez laane ki koshish karein to na la sakenge, chahe veh sab ek-dusare ke sahayak hi kyon na ho.


Monday, May 28, 2018

Surah 9: At-Tauba. Ayat-71-72

Surah 9: At-Tauba

Ayat-71-72

(71) Emaan wale mard aur Emaan wali auratein, yeh sab ek-dusare ke saathi hai, bhalai ka hukm dete hai aur burai se rokte hai, namaaz qayam karte hai, jakaat dete hai, aur Allah aur uske Rasool ka agyapalan karte hai. Yeh woh log hai jin par Allah ki dayaluta utar kar rahegi, yakeenan Allah ko sab par prabhutv prapat hai aur vah tatvadarshi aur sarvagya hai. (72) In Emaan wale mardon aur Emaan wali auraton se Allah ka vaada hai ki unhein aise baag dega jinke neeche nehre behti hogi aur veh unmein hamesha rahenge. Un sada bahaar baagon mein unke liye pakeezah tehrane ki jagah hogi, aur sabse badhkar yeh ki Allah ki prasannata unhe prapat hogi. Yahi badi safalta hai.

Sunday, May 27, 2018

Surah 59: Al-Hashr. Ayat-22-24

Surah 59: Al-Hashr

Ayat - 22-24

(22) Vah Allah hi hai jiske siva koi pujya nahi, adarsh aur prakat har cheez ka janne wala, wahi sarvocch karunamey aur dayavaan hai. (23) Vah Allah hi hai jiske siva koi pujya nahi. Vah samrath hai, bada hi pavitra, sarvatha salamati, nichchinta pradan karne wala, nigehbaan, sab par prabhutv rakhne wala, apna Adesh balpurvak lagu karne wala, aur bada hi ho kar rehne wala. Pak hai Allah us ''Shikrh' (Bahudevaad ke karm) se jo log kar rahe hai. (24) Vah Allah hi hai jo Srishti ki yojana banane wala aur usko lagu karne wala aur uske anusar roop banane wala hai. Uske liye uttam naam hai. Har cheez jo aasman aur zameen mein hai uski tasbeeh (Gurgaan) kar rahi hai, aur vah prabhutvshaali aur tatvadarshi hai.