Saturday, May 26, 2018

Surah 3 Al-'Imran. Ayat-200

Surah 3: Al-'Imran

Ayat - 200

Aye logo jo emaan laye ho, dhairya se kaam lo, asatyavadiyon ke muqabale mein jame raho, satya ki sewa ke liye qamar kase raho aur Allah se darte raho, umeed hai ki qamyabi paoge.

Friday, May 25, 2018

Surah 112: Al-Ikhlas. Ayat - 1-4

Surah 112: Al-Ikhlas

Ayat - 1-4

(1) Kaho, vah Allah hai Ek, aur Akela. (2) Allah sarv sampan hai sabse nirpeksh hai aur sab uske mohtaaz hai. (3) Na uski koi santan hai aur na vah kisi ki santan. (4) Aur koi uska samkakch nahi hai.

Thursday, May 24, 2018

Surah 104: Al-Humazah. Ayat 1-9

Surah 104: Al-Humazah

Ayat 1-9

(1) Tabahi hai har us vyakti ke liye jo (aamne-samne) logon par taane marne aur (peeth peeche) buraiyaan karne ka abhyast hai. (2) Jisne maal ikattha kiya aur gin-gin kar rakkha. (3) Vah samajhata hai uska maal hamesha uske pass rahega. (4) Hargiz nahi, vah vyakti to chaknachoor kar dene wali jagah mein fhek diya jayega. (5) Aur tum kya jaano kya hai vah chaknachoor kar dene wali jagah? (6) Allah ki aag, khoob bhadkai hui. (7) Jo dilo tak pahuchegi. (8) Vah un par dhaap kar band kar di jayegi. (9) (Is haalat mein ki ve) ucche-ucche istambha mein (ghire hue honge).

Wednesday, May 23, 2018

Surah 103: Al-Asr

Surah 103: Al-Asr

Ayat-1-3

(1) Zamane ki qasam. (2) Insaan vastav mein ghaate mein hai. (3) Sivay un logon ke jo imaan laye, aur aache karm karte rahe, aur ik dusare ko haq ki nasiyat aur sabr ki taqeed karte rahe.

Surah 2: Al-Baqarah - Ayat-185

Surah 2: Al-Baqarah

Ayat - 185

Ramzaan wah mahina hai, jismein Quran utara gaya jo insaano ke liye savartha margdarshan hai aur aisi ispastha shikshaon par aadharit hai, jo seedha marg dikhane wali aur satya aur asatya ka antar khol kar rakh dene wali hai. Atth ab se jo vyakti is mahine ko paye, uske liye anivarya hai ki is poore mahine ke Rozein rakhe. Aur jo koi bimaar ho ya safar par ho, to vah dusare dino mein Rozein ki ginti poori kare. Allah tumhare saath narmi karna chahta hai, skhti karna nahi chahta. Isliye yeh tarika tumhein bataya ja raha hai taki tum Rozon ki ginti poori kar sako aur jis seedhe marg par Allah ne tumhein lagaya hai, us par Allah ki badhaye ka izhaar karo aur mano aur sukrguzaar bano.

Monday, May 21, 2018

Surah 1: Al-Fatiha - Ayat 1-7

Surah 1: Al-Fatiha

Ayat - 1-7

(1) Prasansa Allah hi ke liye hai jo saare jahan ka Rab hai. (2) Bada hi meharbaan aur daya karne wala hai. (3) Badla diye jaane ke din ka Malik hai. (4) Hum teri hi bandagi karte hai aur tujhi se madad mangate hai. (5) Humein seedha marg dikha. (6) Un logon ka marg jo tere kripa-patra hue. (7) Jo prakop ke bhagi nahi hue, jo bhatke hue nahi hai.

Surah 21: Al Anbiya - Ayat 19-20

Surah 21: Al Anbiya

Ayat 19-20

(19) Zameen aur aasmano mein jo kuch bhi hai Allah ka hai. Aur jo (Faristee) uske pass hai ve na apne ko bada samajhkar uski bandagi se mooh fherate hai aur na dukhi hote hai. (20) Raat aur din uski tasbeeh karte rehte hai, dum nahi lete.