Showing posts with label Bible. Show all posts
Showing posts with label Bible. Show all posts

Friday, June 22, 2018

Markus 11:24-26. Naya Niyam.

Markus 11:24-26

Naya Niyam.

(24) Isliye main tumse kehta hun, ki jo kuch tum prathana mein mangate ho vishwas karo ki use pa chuke ho, aur vah tumhe mil jayega. (25) Aur jab kabhi tum khade hokar prathana karo to yadi tumhare mann mein kisi ke prati kuch virodh hai to kshama karo, jisse ki tumhara Pita jo swarg mein hai tumhare bhi apradh kshama kare. (26) Yadi tum kshama nahi karoge to tumhara Pita bhi jo swarg mein hai tumhare apradh kshama nahi karega.

Thursday, June 21, 2018

Naya Niyam. Yuhanna 12:35-36

Yuhanna 12:35-36

Naya Niyam.

(35) Isliye Yeshu ne unse kaha, "Jyoti tumhare madya hai, aur thodi dair ke liye hai. Jab tak jyoti tumhare saath hai, tab tak chalte chalo jisse ki andhkaar tumhe na aa ghere. Jo andhkaar mein chalta hai vah nahi janta ki vah kidhar ja raha hai. (36) Jab tak jyoti tumhare saath hai, Jyoti par vishwas karo, jisse ki tum jyoti ki santan ban sako."

Wednesday, June 20, 2018

Naya Niyam. Luka 6:45

Bhala manush apne hirday ke bhale bhandar se bhali baaton ko hi nikaalta hai, par bura manush apne hirday ke bure bhandar se buri baatein nikalta hai, kyonki jin baaton se uska hirday bhara hota hai, unhi baaton ko vah mooh par laata hai.

- Luka 6:45

Naya Niyam

Tuesday, June 19, 2018

Naya Niyam. Yuhanna 12:24-25

Main tumse sach-sach kehta hun ki jab tak gehu ka daana bhoomi mein padhkar marr nahi jaata, vah akela rehta hai; parantu yadi marr jata hai to bahut fhal laata hai. Jo apne pran ko priye janta hai vah use kho deta hai aur jo apne pran ko is jagat mein apriye janta hai vah use anant jeevan tak bachaye rakhega.

- Yuhanna 12:24-25

Naya Niyam.